Hanuman ji ki mahima ka varnan karna surya ko deepak dikhana hai. Woh param bhakt hain, maha-balshali hain, aur phir bhi itne vineet ki Shri Ram ke charanon mein sadaiv namr rehte hain.
Lanka dahan ho ya Sanjeevani parvat — har leela mein unki bhakti aur shakti ka anupam sangam dikhta hai.